Visitors since 23rd August 2009
1st Ramazan 1430

 

 

 

 

1. Kis se wafa karta 

Wo bewafa na tha youn hi badnaam hogaya Faraz,

Hazaron chahne wale thy kis kis se wafa karta ...!

 

2. Dard dena hi chor diya

DIL ki dunia kuch es tarah se ujri Faraz,

usne dard ka aadi bana ke dard dena hi chor diya...!

 

3. Itny khubsoorat Lub

Yahi soch kar uski har baat ko sach maana hai Faraz,

Ke itny khubsoorat Lub jhoot kaise bolaingy....!

 

4.Sab poochty hain haal us ka

Mere naseeb ki ye bhi khush naseebi hai Faraz,

Ke mujh ko dekh ke sab poochty hain haal us ka...!

 

5.HUM se ab roya nahen jata

Meri aankhenbhi ek din mujhse kah dengi Faraz,

Khawab na us ke dekha karo HUM se ab roya nahen jata...!

 

6. Hamen neend nahen aati

Us shakhs se faqat itna sa tauluq hai Faraz,

wo preshan ho to Hamen neend nahen aati...!

 

7. Mannat se maang lete hain

Chalo us ka nahen to KHUDA ka hi ahsaan lete hain Faraz,

Wo Minnat se nahen to Mannat se maang lete hain...!

 

8. Usy fursat nahen milti

Tum tauluq tootne ka kahen zikar na karna Faraz,

Main logon se kahonga ke usy fursat nahen milti...!

 

9. Sawal koi bhi ho

Faraz "US" ne wafai ki ya bewafai ki,

Jawabdaar tu HUM hi hain sawal koi bhi ho...!

 

10. Apna bana ke chorh diya

Us ne kaha tha ke apna bana ke chorhonga Faraz,

Aur phir wohi kiya, apna bana ke chorh diya...!

 

Abhi kuch aur karishmay...!

 

Abhi kuch aur karishme ghazal k dekhte hain
FARAZ ab zara lehja badal k dekhte hain

 

Judaaian to muqadar hain phir bhi jaan-e-safar

Kuch aur door zara sath chal k dekhte hain

 

Rah-e-wafa main hareef e kharam koi to ho

So apne aap se aagay nikal k dekhte hain

 

Tu saamne hai to phir kyun yaqeen nahi aata
Yah bar bar jo aankhon ko mal k dekhte hain

 

Yah qurb kia hai k yakjaa howay na door rahe

Hazzar ik hi qaalib main dhal k dekhte hain

 

Na tujh ko maat hoi hai na mujh ko maat hoi
So ab k donon hi chalain badal k dekhte hain.


 


Ye meri gazlen ye meri nazmain.....!


Ye meri gazlen ye meri nazmain
Tamam teri hikayaten hain

Ye tazkary teri lutf k hain
Ye sher teri shikayaten hain

Main sab teri nazr kar raha hun
Ye un zamanon ki s'aten hain

Jo zindagi k naye safar main
Tujhe kisi waqt yaad aayen

Tu ek ek harf ji uthega
Pahan k anfaas ki qabaayen

Udaas tanahaiyon k lamhon main
Naach uthengi ye apasarayen

Mujhe tery dard k alawa bhi
Aur dukh thY, ye janta hun

Hazar gam thy jo zindagi ki
Talash main thy, ye janta hun

Mujhe khabar thi k tery anchal main
Dard ki rait chaanta hun

Magar har ek bar tujh ko chu kr
Ye rait rang-e-hina bani hai

Ye zakhm gulzar ban gaye hain
Ye ahen-sozan ghata bani hai

Ye dard mauj-e-saba hua hai
Ye aag dil ki sada bani hai

Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phOOl ye zakhm sab tere hain

Ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain
Jo kal mere thy wo ab tere hain

Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain

Wo tera shayar tera mug'ni
Wo jis ki baten ajib si thi

Wo jis k andaz khusro-vana thy
Aur adayen garib si thin

Wo jis k jeene ki khawahishen bhi
khud us k apne nasib si thin

Na puch us ka ki wo diwana
Bahut dinon ka ujar chuka hai

Wo kohakan to nahin tha lekin
kari chattanon se lar chuka hai

Wo thak chuka hai aur us ka tesha
Usi k seenayn main gar chuka hai...!!! 

..........................................................


Tumhara khat mila jana....!


Tumhara khat mila jana!!
Wo jis mein tum ne poocha hai

k ab halaat kaise hain
Mere din raat kaise hain

Mehrbani tumhari hai k
Tum ne is tarah mujhese
Mere halaat pooche hain
Mere din raat pooche hain
 
Tumhien sab kuch bata don ga
Mujhe itna bata do k
Kabhi sagar kinare per
Kisi machli ko dekha hai

k jis ko lehrain pani ki
kinare tak to laati hain
Magr phir chorr jati hain'
Mere halat aisy hain
Mere din raat aisy hain

....................................................


Ranjish Hi Sahi.....!

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Aa Phir Say Mujhay Chor Kay
Jaanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Pehlay Say Marasim Na Sahi
Phir Bhi Kabhi Tu

Rasm-e-Rah-e-Duniya
Hi Nibhaanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Ab Tak Dil-e-Khush Feham Ko
Tujh Say Hain Umeedain

Ab Tak Dil-e-Khush Feham Ko
Tujh Say Hain Umeedain

Yeh Aakhri Shamain Bhi
Bujhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Kis Kis Ko Batayen Gay
Judai Ka Sabab Hum

Kis Kis Ko Batayen Gay
Judai Ka Sabab Hum

Tu Mujhsay Khafa Hai To
Zamaanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Ek Umar Say Hoon
Lazzat-e-Girya
Say Bhi Mehroom

Ek Umar Say Hoon
Lazzat-e-Girya
Say Bhi Mehroom

Ay Raahat-e-Jaa'n
Mujhko Rulaanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Kuch To Meray Pindar-e- Mohabbat
Ka Bharam Rakh

Kuch To Meray Pindar-e- Mohabbat
Ka Bharam Rakh

Tu Bhi To Kabhi
Mujhko Manaanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Maana Kay Mohabbat Ka
Chupaana Hai Mohabbat

Maana Kay Mohabbat Ka
Chupaana Hai Mohabbat

Chup Kay Say Kisi Roz
Jataanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Jaisy Tumhain Aatay Hain
Na Aanay Kay Bahaanay

Jaisy Tumhain Aatay Hain
Na Aanay Kay Bahaanay

Aisay Hi Kisi Roz
Na Jaanay Kay Liye Aa

Ranjish Hi Sahi
Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa

..................................................


Tab laut aana....!


Uss ne kaha sun
ehad nibhane ki khatir mat aana

Ehad nibhane wale aksar majboorii ya
Mahajoori ki thakan se lauta karte hain

Tum jao aur dariya dariya pyaas bujhaao
Jin aankhon mein doobo
Jis dil mein bhi utaro

Meri talab aawaz na de gi
Lekin jab meri chaahat aur
Meri khawahish ki lau
Itni tez aur itni uunchi ho jaaye

Jab dil ro de
Tab laut aana

........................................................


Ab kis ka jashn manaate ho.....!

Ab kis ka jashn manaate ho
Us des ka jo taqsiim huwa
Ab kis ke geet sunaate ho
Us tan-man ka jo do-neem huwa

Us kHwaab ka jo rezaa rezaa
Un aankhoN ki taqadeer huwa
Us naam ka jo Tukarha Tukarha
GaliyoN meN be-tauqeer huwa
Us parcham ka jis ki hurmat
BaazaaroN meN nilaam hui
us miTTii ka jis ki hurmat
Mansoob adoo ke naam hui

Us jang ka jo tum haar chuke
Us rasm ka jo jaari bhi nahiN
Us zakHm ka jo seene pe na tha
Us jaan kaa jo vaari bhi nahiN

Us kHoon ka jo bad-qismat tha
RaahoN main bahaaya tan meN raha
Us phool ka jo be-qeemat tha
Aangan main khila ya ban main raha

Us mashriq ka jis ko tum ne
Neze ki ani marham samajha
Us magharib ka jis ko tum ne
Jitna bhi looTaa kam samjha

Un maasoomon ka jin ke lahoo
Se tum ne farozaaN raateN kiN
Ya un mazlumoN ka jis se
kHanjar ki zabaaN meN baateN kiN

Us mariyam ka jis ki iffat
Lutati hai bhare baazaaroN meN
Us eisa ka jo qaatil hai
Aur shaamil hai gHam-kHwaaroN meN

In nauha- garoN ka jin ne hameN
kHud qatal kiya kHud rote haiN
Aise bhi kahiN dam-saaz hue
Aise jallaad bhi hote haiN


Un bhooke nange DhaanchoN ka
Jo raqs sar-e-bazaar kareN
Ya un zaalim qazzaaqoN ka
Jo bhes badal kar waar kareN

Ya un jhooTe iqraaroN ka
Jo aaj talak aifaa na hue
Ya un bebas lachaaroN ka
Jo aur bhii dukh kaa nishanaa hue

Es shaahi ka jo dast-ba-dast
Aayi hai tumhare hisse meN
kyoN nang-e-watan ki baat karo
kyaa rakha hai is qisse meN

AankhoN meN chhupaaye ashkoN ko
HonToN meN wafa ke bol liye
Es jashn meN maiN bhi shaamil hooN
NauhoN se bhara kashkol liye 

.........................................................


Kuch na kisii se bolengy.....!


Kuch na kisii se bolengy
Tanhaa_ii main ro lengy

Hum be-rahabaroon ka kiya
Saath kisi ke ho lengy

[be-rahabaroon=pathless travellers]

Khud to huye ruswa lekin
Tere bhed na kholengy

Jeevan zahar bharaa saagar
Kab tak amrit gholengy

Neend to kiya aayegii 'Faraz'
Maut aa_ii to so lengy

.................................................


Saath Roti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi.....!


Saath Roti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi
Wo Larki Jo Mere DiL Main Basa Karti Thi

Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay
Wo Musalley Pay Namazon Main Duaa Karti THi

Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi

Mere Dil Main Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi

Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Main
Meri Aaghosh Main Marne Ki Duaa Karti Thi

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaye HUM
Warna Wo Tu Mujhy Taqdeer Kaha Karti Thi

Bhula kar hamen wo khush reh payenge
sath mein nahen tu mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se k unhen kabhi dard na dena
Hum to seh gaye par wo toot jayenge

...............................................................


Mohabbat Hum se karni hy.....!


Mohabbat Hum se karni hy
Tu phir wada nahen karna

Ye waday Hum ne dekhy hain
k aksar toot Jatay Hain

Mohabbat hum se karni hy
Tu phir zid bhi nahen karni

Ye zid bhi Hum ne dekhi hy
K sathi chhoot jatay hain

Mohabbat Hum se karni hy
Tu phir tohfa nahen dena

Ye tohfay Hum ne dekHy hain
Bahat majbor karty hain

Mohabbat hum se karni hy
Tu phir shikwa nahen karna

Ye shikway hum ne dekhy hain
Dilon ko door karty hain...

...................................................




 

free counters

 

 

 
Make a Free Website with Yola.