Visitors since 23rd August 2009
1st Ramazan 1430

 

 

 

 

My Best Friend: This poetry is written by one of my best friends, who guided me a lot in different matters of my life.

 

Zindagi ik fasana hy......!  

 

Zindagi ik fasana hy

Kisi ko hansana kisi ko rulana hy

 

Kuch log aisy bhi hain jahan main

Jin ka kaam jahan main fasaad phailana hy

 

Ap to aaye hainn yahaan naye naye

Ap ko kiya pata unho ny kis kis ko satana hy

 

Zindagi ki fasany me haroof achy bury hain

Hum ne bury haroofon ko acha bnana hy

 

Ap ko to kuch khabar hi nahen

Ye bhi begana hy wo bhi begana hy

 

Log bhooky hain paison k is jahan main

Hum ne mil k in k zameeron ko jagana hy

 

Dunya e zalim daba deti hy sada e zurba ko

Yahan k logo ny ghareeb k laho se paisa kamana hy

 

Ye log hirs o hawas k zor mai hain

In ho ne insaan ko kia Khuda ko bhi bhulana hy

 

Mar dy ye jahan Hum ko shayad

Hum ne phir bhi is zulm ko mitana hy

 

Kehti hon maim Tum se aik bar phir ye

Too ny auron k zakhmon pe marham lagana hy

 

Meray dard ki shiddat wo kiya mehsoos kary ga 

 

Kabhi har dard ki waja, kabhi dawa likha
Us ki bai-ant wafayon ny hamein kia kia likha

Wo Dil ka mehram sb jaan k anjaan raha
Dil ki majboriyon ko jis ny meri ada likha

Wo jis ki yaad sy khali na raha koi pehar
Hamari yaad ko us ny waqt ka ziya likha

Mein us ko Dil k halat sunayon kaisy
Jis ny pahly hi har ik baat ka gila likha

Meray dard ki shiddat wo kiya mehsoos kary ga
K mairy zabt ko jis ny meri ana likha..!
.....................................................
 
Ya Rab mery jeevan ko ik mor naya dy.....!
Ya Rab mery jeevan ko ik mor naya dy
Chahy to umr aur de chahy to bula ly
 
To mery dil k haal ko hy khoob janta
Gar diye hn is ko imtihan tau hosla bhi dy
 
Choty se zindagi main sb kuch ataa kia
Mein dekhty hon har pal teri rehmat k silsily
 
Itni hy tamanna k gunaho se paak ho
Jab ye banda e gunahgar apny malik se mily
...........................................................
 
Kabhi gaye idhr ki tarf to kabhi udhr ki tarf....!

Ae doston ly lo mujhy hisaar e Dua main
K chali hon mein zindagi k safar ki tarf
 
Kabhi kia tha bharosa be-reham jahan par
Usi ne teer de mara apny jigar ki tarf
 
Bht tarikiyon main waqt guzaar chuky
Ab ji main hy chalen kabhi sahr ki tarf
 
Jis ne kabhi zameen pe payon na dhara tha
Kitna chup chap ja raha hy wo qabr ki tarf
 
Itny gunahon k bawajood mery Khuda ne ye keh dia
lay jayo darguzar mery bashar ki tarf
 
Tamam umr hujum e zindagi main bhatakty hi rahy
Kabhi gaye idhr ki tarf to kabhi udhr ki tarf.

 

free counters

 

 

 
Make a Free Website with Yola.