Visitors since 23rd August 2009
1st Ramazan 1430

 

 

 


Na shikayaten na gila kare...!

 

Na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare


Jo mere liye hi saja kare
Mujh hi se baten kiya kare

 

kabhi roye jaye wo bepanah
kabhi betahasha udas ho


kabhi chup k chup k dabe qadam
Mere peeche aa kar hansa kare

 

Meri qurbaten meri chahaten
koi yad kare qadam qadam


 

Main taweel safar main hun agar
Meri Wapasi ki DUA kare.

.............................................

 

Tum se kiya kahen jana..! 

 

Zindagi k mele main, khvahishon k rele main
Tum se kya kahen jana, es qadar jhamele main

 

Waqt ki ravani hai, bakht ki girani hai
Sakht bezamini hai, sakht lamakani hai

 

Hijr k samandar main, takht aur takhte ki
ek hi kahani hai, tum ko jo sunani hai

 

Baat go zara si hai, baat umr bhar ki hai
Umr bhar ki baten kab, do ghari main hoti hain

 

Dard k samandar main, anginat jaziren hain
Beshumar moti hain, ankh k dariche main

 

Tum ne jo sajaya tha, baat us diye ki hai
Baat us gile ki hai, jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai, lafz k fasilon par
Tut tut jata hai

 

Zindagi se lambi hai, bat ratjage ki hai
Raste main kaise ho, baat takhliye ki hai

 

Takhliye ki baton main, guftagu izafi hai
Piyar karne walon ko, ik nigah kafi hai

 

Ho saky to sun jao, ek din akale main
Tum se kiya kahen jana..!, es qadar jhamele main

.................................................................

 

Aey Kaash…!

 

Wo phool si muskurahat mere liye hoti
Wo masoom shararat mere liye hoti

 

Main us zulf ki chaaon main soo jaata
Wo kaali raat mere liye hoti

 

Raat bhar wo ghomaati apna kangan
wo bechayni wo betaabi mere liye hoti

 

Wo ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni merey liye hoti

 

Mere wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar mere liye hoti

 

Rishta kuch to ban jaata apna bhi
Mohabbat nahi na sahi,nafrat mere liye hoti.

.........................................................

 

Tu door hai mujh sey...!

 

Tu door hai mujh sey, per paas bhi hai
Teri kami main kahin , tera ehsaas bhi hai

 

Tujh sey Dost hain laakhon, jahan main merey
Per tu Dost bhi hai, aur khaas bhi hai

 

Tuney Khushiyan mujhey itni di hain ke aaj
Tujhey khoney ka dil main ehsaas bhi hai

 

KHUDA ne yuun nawaza, teri Dosti se mujhey
Ke mujhey khud pe gumaan hai, aur naaz bhi hai.

...................................................................

 

Bohat Khas Ho TUM kisi k liye...!


Tum kiya ho Duniya ki nazar main
aik aam insan..!
ya ziada say ziada achay ya buray


Per...................................................


Meri nazar main tum seep maIN moti ho

Tum lehroon ki shararat ho
Tum thandi dhoup ki hararat ho
Tum barisho ki sada ho
Tum ghamoN main khushiyo ka ahsas ho
Tum dharkano ki awaz ho
Tum sada ho mairay piyar ki


Tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
Tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz ho.

....................................



Un jheel si gehri aankhon mein.....!


Un jheel si gehri aankhon mein
Ik sham kahin abad tu ho!


Us jheel kinarey pal do pal
Ik khuwab ka neela phool khiley!


Wo phool baha dein lehron mein
Ik roz kabhi ham sham dhaley!


Us phool k behte rangon mein
Jis waqt lazarta chand chaley!


Us waqt kahin un aankhon mein
Is bisrey pal ki yad to ho!


Un jheel si gehri aankhon mein...
Ik sham kahin aabad to ho!


Phir chahey umr samandar ki
Har mauj paresha“n ho jaye!


Phir chahey aankh dareechay se
Har khuwab guraiza“n ho jaye!


Phir chahey phool k chehre ka
Har dard numaya“n ho jaye!

Us jheel kinarey pal do pal
Wo roop nagar eejad to ho!


Din raat k is aainey se
Wo aks kabhi aazad to ho!


In Jheel si gehri aankhon mein
Ik sham kahin aabad to ho!

....................................................


Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hain.....!


Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hain,
Isi liye tu wo rukh pe nakaab rakhte hain!

Wo paas baithein tu aati hai khushbu,
Wo apne hathon pe khilta gulab rakhte hain!

Har ik waqt mein tum hi tum ho jaan-e-mohabbat,
Hum apne dil mein kuch aisi kitab rakhte hain!

Jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee de,
Hum apni aankh mein kitne Chenab(i.e. in all directions) rakhte hain !

Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hain,
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hain!

..............................................................


Aankh kehti hai usy pehle kahen dekha hai....!


Aankh kehti hai usy pehle kahen dekha hai
Dil ye kehta hai nahen wo to koi aur hi tha


Jis ki aaghosh mein kaliyan thi,Sharary to na thy
Jis k hathon ko gulistan kaha karte thy


Jis ki baton se bhi jeeny k keyi dars miley
Jis k hotey huye ye dard hamare to na thy


Aur jo tha to dareechon pe udasi bhi na thi
Zard patton pe bhi ham war diya karte thy


Surkh phoolon ka nikhar,us k moti ki chamak
Jis k hoty huye beydard nazary to na thy


Aur ye shakhs k aaya hai udasi le kar
Is ki aaghosh mein kaliyon ka koi naam nahen


Is k hathon ko gulistan nahen keh sakte
Is k aaney pe koi phool nahen mehka hai


Wohi khamoshi, udasi hai dareechon pe meheet
Is k aaney pe mera dil bhi nahen dharka hai
Aankh kehti hai usey pehle kahin dekha hai...!

.................................................................

 

 

A Dost! teri yaad buhat aati hai.....!

 

A Dost! teri yaad buhat aati hai
Tanhai main mujhe buhat satati hai 


Kis say kahoon apne dil ki baat main
Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai 


Ye barish ki boondhein, Ye matti ki khushbu
Mujhe tanha dekh kar mera mazak urati hain 


Mujhe tumse hai rafakat itni
Tanhai main tumhari awaaz aati hai 


Deta hai sada koi mujhe door sy
Lagta hai mujhe meri dost bulati hai..!

........................................................


Chup Hoon.....!


Zindagi hai nadan isliye chup hoon
Dard hi dard subah shaam isliye chup hoon
Keh dun zamane se dastan apni
Usme ayega tera naam isliye chup hoon.

.......................................................


Darte Hain.....!


Tanhai se nahen hum mehfil se darte hain
Duniya se nahen hum khud se darte hain
Yun tu bahut kuch khoya hai humne
Phir na jane kiyun tumhen khone se darte hain.

.............................................................


Har qadam per milli ruswai zamany bhar ki......!


Har qadam per milli ruswai zamany bhar ki
Har ruswai main aai saada, har saada main tera naam

Dil iqrar ko tarasta raha, tarapta raha
Per laboon per na aaya tera naam

Qiyamat k thy wo lamhy jag hasai ky
Par gawara na kiya laina tera naam

Ankhoon ny bahai ashkoon ki lari
Lari k har moti par tha tera naam

Apny huye gair aur dee tanhai
Per tanhai main bhi goonja tera hi naam

Nadaan hain jo bethaye mujh par pehry
Kaisa pehra jab rooh par hi likha ho tera naam

Muqadar main likha hai kiya, kissi ko kiya maloom
Hum to bas yaad rakhy hain teran naam

Kah do ye un pehry daroon sy
Ta dum merg manind tasbeh perhna hai tera naam

....................................................................


Tum kiya ho Duniya ki nazar main.....!


Tum kiya ho Duniya ki nazar main, aik aam insan
Ya ziada sy ziada achy ya bury


Par................................................


Meri nazar main tum seep main moti ho
Tum lehro ki shararat ho
Tum thandi dhoup ki hararat ho


Tum barisho ki sada ho
Tum ghamon main khushiyon ka ahsas ho


Tum dharkano ki awaz ho
Tum sada ho mere piyar ki


Tum hi humsafer tum hi manzil ho zindagi ki
Tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar sy


kiyun k Tum khas ho
sansouN ki saaz ho...

................................................


 

 

free counters

 

 

 
Make a Free Website with Yola.