Visitors since 23rd August 2009
1st Ramazan 1430
 

 

 


Woh Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi.....!

 

Woh larki bhi ek ajeeb paheli thi

Piyase hont thy ankh samander jaisi thi

 

Suraj us ko dekh ke peela perta tha

Woh serma ki dhoop main dhul ker nikalti thi

 

Us ko apne saye se dar lagta tha

Sooch ke sehra main woh tanha hirni thi

 

Atay jate mausam us ko daste thy

Hanste hanste palkoon se roo perti thi

 

Adhi raat gunwa deti thi chup reh ker

Adhi raat ke chand se baatain kerti thi

 

Dur se ujare mandeer jaisa ghar uss ka

Woh apne ghar main akloti devi thi!

 

Moom se nazuk jism sehar ko dukhta tha

Diye jala ker shab bher aap pighalti thi!

 

Taiz hawa ko rook ke apne anchal per

Sookhe phool ikhate kerti phirti thi

 

Sab per zahir ker deti thi bhaid apna

Sab se ek tasweer chupaye rakhti thi

 

Kal shab chakna chur howa tha dil us ka

Ya phir pahli baar woh khul ker roi thi

 

Mohsin kiya jane kyon dhoop se be perwah

Wo apne ghar ki dehleez per bethi thi..?

................................................

 

Ye Phool...!

 

Ye phol apni khaslat pe kitny bebus hen mohsin,
Torney waly ko bhi khoshbo ki saza daity hen.
...............................................................

Jab bhi hansnay kay zamanay aaye...!

Jab bhi hansnay kay zamanay aaye
zakham phir yaad puranay aaye
 
Bar'ha un ko manaya tu humain
rooth janay kay bahanay aaye
 
Phir mujhay toot kay chaha uss nay
phir bicharnay kay zamanay aaye
 
muskara kar humain milnay wallay
zindagi bhar ko rulanay aaye
 
Kitni mehroom theen neendain un kee
khawb bhi jin ko jaganay aaye
 
Teri chahat ne theharnay na diya
raah mein kitnay thikaanay aaye
 
Tu nahi hai tu hawa ka jhoonka
ghar ke zanjeer hilanay aaye
 
Dil bujha hai na jalay hain khaimay
aap kiyon jashan mananay aaye ?
 
Issi umeed pay jagoo yaroo !
aab wo kis waqat na janay aaye
 
Raas aaya jinhen sehra "Mohsin"
un ke kismat mein khazanay aaye.
 ...................................................

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo...!
 
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain piyar chupaya na karo
 
Log har baat ka afsana bana lete hien
sab ko halaat ki rudad sunaya na karo
 
Ye zarori nahin har shakhs maseeha hi ho
pIyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
 
Shahar-e-ehasas mien pattharao bahut hain 'Mohsin'
dil ko sheeshe ke jharonkon mien sajaya na karo.
...................................................................

Kaash hum khul k zindagi karty.....!

Kaash hum khul k zindagi karty
Umar guzri hai khud kushi karty


Bijlian is taraf nahin aaiin
warna ham ghar main roshni karty


Kaun dushman teri tarah ka tha
Aur ham kis sy dosti karty


Ishq ijrat talab na tha warna
Hum tere dar py nokri karty


Iss tamanna main ho gaye ruswa
Hum bhi jee bhar k aashqi karty


Hussn us ka na khul saka Muhsin
Thak gaye log shayeri karty

.................................................


 

Usny jab jab bhi mujhy dil sy pukara Mohsin....!


Usny jab jab bhi mujhy dil sy pukara Mohsin
Mainy tab tab usy ye btaya k tumhara Mohsin


Log sadyyon ki khataon par b khush basty hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin


Jab agaya ye yakin k ab wo nahen aye ga
Gham aur answoun ny diya dil ko sahara Mohsin


Wo tha jab pas to jeeny ko bhi dil krta tha

Ab to pal bhar bhi nahen hota hai guzara Mohsin


Usko pana to mukadar ki lakiron main nahen shayad
Uska khona bhi karen kaisay gawara Mohsin.

..............................................................


 

 

free counters

 

 

 
Make a Free Website with Yola.