Visitors since 23rd August 2009
1st Ramazan 1430

 

 

 

Kisi ki khushi ki khatir... 

 

Ek raat DUA main tujhko manga tha
Dil main kaisa sakon ubher aya tha


KHUDA nay bhi mujhay ye yaqeen dilaya tha
meri Dil main teri tasveer ko jamaya tha


par yeh kia k ik din Tum nay mujhay sunaya tha
kissa apni muhabbat ka mujhko bataya tha


phir jub teri muhabbat main mainay tujhko toottay dekha
phir yaad main uss baywafa ki tujhko rootay dekhaa


phir yeh kiya k main thi aur ik nayee DUA

aay Khuda muhabbat ka pass rakhna


woh mujhko na milay na saheee
TUM uski muhabbat ko uskay pass rakhna


Khuda nay phir meray dil ko yaqeen dilaya thaa
magar woh shaks jo tha apna, lagta paraya tha


uski hansi ki khatir dil nay yeh dukh uthaya tha
KHUDAYA ab na kisi aur ko yeh inayat karna


jo dil main bassi hai tasveer usko TU gayab karna
TU meray dukhon pay mujhko na ghumzada rakhna
meri muhabbat ko sada TU meri khushiyan bhi inayat karna..

 

 

Acha lagta hai....!

 

Us Key Bin Chup Chup Rehna Ab Acha Lagta Hay
Khamooshi Say Ek Dard Ko Sehna Acha Lagta Hay

 

Jis Hasti Ki Yaad May Aansoo Barastey Hain
Samaney Us Key Kuch Na Kehna Acha Lagta Hay

 

Mil Kar Us Say Bhichar Na Jaoon Darta Rehta Hoon
Is Liye Bas Dour Hi Rehna Acha Lagta Hay

 

Jee Chahey Sari Khushyaan Lay Kar Us Ko Deydoon
Us Key Pyaar May Sab Kuch Khoona Acha Lagta Hay

 

Us Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat Hay
Pal Pal Us Ki Yaad main Rona Acha Lagta Hay

 

Us Key Bina Sari Khushyaan Aajab lagti Hain
Ro Ro Kar Us Ki Yaad May Sona Acha Lagta Hay

 

Ham Say Muhabbatoon Ki Numayaish Na Hoo Saki
Bas Etna Jantey Hain Key Tumhain Chahna acha lagta hay




Wo kehti hai.....!


Wo kehti hai k kiya ab bhi kisi k liye
Laal hari chooriyan khareedty ho..?

Main kehta hon ab kisi ki kalai pe
Yeh rang acha nahen lagta.

Wo kehti hai k kiya ab bhi kisi k anchal ko
Aakash likhtay ho..?

Main kehta hon ab kisi k aanchal main
Itni wosaat kahan hai.

Wo kehti hai k kiya mere baad kisi larki se
Muhabbat howi hai tumhen..?

Main kehta hon, muhabbat sirf
Larki per mushtamil nahen hoti.

Wo kehti hai k janaan!
Lehjy main bohat udaasiyat si hai..?

Main kehta hon k titliyon ne bhi
Mere dukh ko mehsoos kiya hai.

Wo kehti hai k kiya ab bhi mujhy
Bewafa k naam sy yaad karty ho..?

Main kehta hon k mere nisaab main
Ye lafz shamil hi nahen.

Wo kehti hai k kabhi mere
Zikar per ro bhi laity ho gy..?

Main kehta hon k meri ankhon ko
Har waqt ki phoowar achi lagti hai. 

.....................................................

 

 

free counters

 

 

 
Make a Free Website with Yola.